ahut tha KHauf jis ka phir wahi qissa nikal aaya 
mere dukh se kisi aawaz ka rishta nikal aaya
Bashar Nawaz
ghaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin 
main kisi patthar kisi diwar ka saya nahin
Bashar Nawaz
jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main 
muddaton se aandhiyon ki zad mein hun bikhra nahin
Bashar Nawaz
kahte kahte kuchh badal deta hai kyun baaton ka ruKH 
kyun KHud apne-ap ke bhi sath wo sachcha nahin
Bashar Nawaz
koi yaadon se joD le hum ko 
hum bhi ek TuTta sa rishta hain
Bashar Nawaz
pyar ke bandhan KHun ke rishte TuT gae KHwabon ki tarah 
jagti aankhen dekh rahi thin kya kya karobar hue
Bashar Nawaz
tez hawaen aaankhon mein to ret dukhon ki bhar hi gain 
jalte lamhe rafta rafta dil ko bhi jhulsaenge
Bashar Nawaz
tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi 
hai jo rishta saz aur mizrab mein
Bashar Nawaz
wahi hai rang magar bu hai kuchh lahu jaisi 
ye ab ki fasl mein khilte gulab kaise hain
Bashar Nawaz

