اردو हिंदी
GhaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin | Shaahi Shayari
ghaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin

Ghazal

GhaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin

Bashar Nawaz

;

ghaTti baDhti raushniyon ne mujhe samjha nahin
main kisi patthar kisi diwar ka saya nahin

jaane kin rishton ne mujh ko bandh rakkha hai ki main
muddaton se aandhiyon ki zad mein hun bikhra nahin

zindagi biphre hue dariya ki koi mauj hai
ek dafa dekha jo manzar phir kabhi dekha nahin

har taraf bikhri hui hain aaine ki kirchiyan
reza reza aks hain salim koi chehra nahin

kahte kahte kuchh badal deta hai kyun baaton ka ruKH
kyun KHud apne-ap ke bhi sath wo sachcha nahin