اردو हिंदी
Jaane kya dekha tha maine KHwab mein | Shaahi Shayari
jaane kya dekha tha maine KHwab mein

Ghazal

Jaane kya dekha tha maine KHwab mein

Shahryar

;

jaane kya dekha tha main ne KHwab mein
phans gaya phir jism ke girdab mein

tera kya tu to baras ke khul gaya
mera sab kuchh bah gaya sailab mein

meri aankhon ka bhi hissa hai bahut
tere is chehre ki aab-o-tab mein

tujh mein aur mujh mein talluq hai wahi
hai jo rishta saz aur mizrab mein

mera wada hai ki sari zindagi
tujh se main milta rahunga KHwab mein