aaine mein hai phir wahi surat
yun hi hoti hai tarjumani kya
Bakul Dev
ab ke tabir masala na rahe
ye jo duniya hai is ko KHwab karo
Bakul Dev
aur kuchh der gham nazar mein rakh
kya KHabar mil hi jae thah kahin
Bakul Dev
aad muddat ye jila kis ke hunar ne baKHshi
baad muddat mere aaine mein chehre aae
Bakul Dev
ek nashsha hai KHud-numai bhi
jo ye utre to phir tujhe dekhun
Bakul Dev
hum jo TuTe hain bata haar bhala kis ki hui
zindagi teri uThai hui saugand the hum
Bakul Dev
hamein is tarah hi hona tha aabaad
hamare sath virane lage hain
Bakul Dev
hawas shamil hai thoDi si dua mein
abhi is lau mein halka sa dhuan hai
Bakul Dev
kashish tujh si na thi tere ghamon mein
lab-o-lahja magar han hu-ba-hu tha
Bakul Dev