aaj aaine mein KHud ko dekh kar yaad aa gaya
ek muddat ho gai jis shaKHs ko dekhe hue
Azad Gulati
aap jis rah-guzar-e-dil se kabhi guzre the
us pe ta-umr kisi ko bhi guzarne na diya
Azad Gulati
aasman ek sulagta hua sahra hai jahan
DhunDhta phirta hai KHud apna hi saya suraj
Azad Gulati
apni sari kawishon ko raegan main ne kiya
mere andar jo na tha us ko bayan main ne kiya
Azad Gulati
dasht-e-zulmat mein ham-rah mere
koi to hai jo jala hai mujh mein
Azad Gulati
dekhne wale mujhe meri nazar se dekh le
main teri nazron mein hun aur main hi har manzar mein hun
Azad Gulati
ek wo hain ki jinhen apni KHushi le Dubi
ek hum hain ki jinhen gham ne ubharne na diya
Azad Gulati
har ek ne dekha mujhe apni apni nazron se
koi to meri nazar se bhi dekhta mujh ko
Azad Gulati
kis se puchhen raat-bhar apne bhaTakne ka sabab
sab yahan milte hain jaise nind mein jage hue
Azad Gulati