اردو हिंदी
Zud-pashiman | Shaahi Shayari
zud-pashiman

Nazm

Zud-pashiman

Parveen Shakir

;

gahri bhuri aaankhon wala ek shahzada
dur des se

chamkile mushki ghoDe par hawa se baaten karta
jigar jigar karti talwar se jangal kaTta aaya

darwazon se lipTi belen pare haTata
jangal ki banhon mein jakDe mahl ke hath chhuData

jab andar aaya to dekha
shahzadi ke jism ki sari suiyan zang-aluda thin

rasta dekhne wali aanhken
sare shikwe bhula chuki thin!