zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
patthar ko guhar diwar ko dar kargas ko huma kya likhna
ek hashr bapa hai ghar mein dam ghuTta hai gumbad-e-be-dar mein
ek shaKHs ke hathon muddat se ruswa hai watan duniya-bhar mein
ai dida-waro is zillat ko qismat ka likha kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
ye ahl-e-hashm ye dara-o-jam sab naqsh bar-ab hain ai hamdam
miT jaenge sab parwarda-e-shab ai ahl-e-wafa rah jaenge hum
ho jaan ka ziyan par qatil ko masum-ada kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
logon pe hi hum ne jaan wari ki hum ne hi unhi ki gham-KHwari
hote hain to hon ye hath qalam shaer na banenge darbari
iblis-numa insanon ki ai dost sana kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
haq baat pe koDe aur zindan baatil ke shikanje mein hai ye jaan
insan hain ki sahme baiThe hain KHunKHar darinde hain raqsan
is zulm-o-sitam ko lutf-o-karam is dukh ko dawa kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
har sham yahan sham-e-viran aaseb-zada raste galiyan
jis shahr ki dhun mein nikle the wo shahr dil-e-barbaad kahan
sahra ko chaman ban kar gulshan baadal ko rida kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
ai mere watan ke fankaro zulmat pe na apna fan waro
ye mahl-saraon ke basi qatil hain sabhi apne yaro
wirse mein hamein ye gham hai mila is gham ko naya kya likhna
zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Nazm
Zulmat ko ziya sarsar ko saba bande ko KHuda kya likhna
Habib Jalib