zindagi se Darte ho!
zindagi to tum bhi ho zindagi to hum bhi hain!
zindagi se Darte ho?
aadmi se Darte ho?
aadmi to tum bhi ho aadmi to hum bhi hain
aadmi zaban bhi hai aadmi bayan bhi hai
us se tum nahin Darte!
harf aur mani ke rishta-ha-e-ahan se aadmi hai wabasta
aadmi ke daman se zindagi hai wabasta
us se tum nahin Darte
an-kahi se Darte ho
jo abhi nahin aai us ghaDi se Darte ho
us ghaDi ki aamad ki aagahi se Darte ho
pahle bhi to guzre hain
daur na-rasai ke be-riya KHudai ke
phir bhi ye samajhte ho hech aarzu-mandi
ye shab-e-zaban-bandi hai rah-e-KHuda-wandi
tum magar ye kya jaano
lab agar nahin hilte hath jag uThte hain
hath jag uThte hain rah ka nishan ban kar
nur ki zaban ban kar
hath bol uThte hain subh ki azan ban kar
raushni se Darte ho
raushni to tum bhi ho raushni to hum bhi hain
raushni se Darte ho
shahr ki fasilon par
dew ka jo saya tha pak ho gaya aaKHir
raat ka libaada bhi
chaak ho gaya aaKHir KHak ho gaya aaKHir
izhdiham-e-insan se fard ki nawa aai
zat ki sada aai
rah-e-shauq mein jaise rah-rau ka KHun lapke
ek naya junun lapke
aadmi chhalak uTThe
aadmi hanse dekho shahr phir base dekho
tum abhi se Darte ho?
han abhi to tum bhi ho
han abhi to hum bhi hain
tum abhi se Darte ho
Nazm
Zindagi se Darte ho
Noon Meem Rashid