kabhi waqt ki sans mein
honT uljha ke dekhe hain tum ne
ki is bad-guman mausamon ke mughanni ki tanen
nihan KHana-e-dil mein
gahri KHamoshi ki haibat giraati chali ja rahi hain
azal se abad tak bipharte hue
sail-e-be-maigi mein kabhi
dil ukhaDte hue shahr girte hue
dekh pae ho tum
kabhi bhige bhige se diwar-o-dar mein
ki bachpan ki galiyon makanon mein
barish ki aawaz se dil dahalte hue
kisi mushtarak KHauf ki aahaTon se
dhaDakte hue baam-o-dar aur zine
musalsal hawa aur barish ki aawaz chalti hui
kabhi munh-andhere ki taqdis mein
dur se aati gaDi ki siTi ko sunte hue
tum ne socha hai un ke liye
jin ke qadmon mein manzil
musalsal azab aur KHwabon se tabir tak dur hai
kabhi sham ki sansanati hawa mein
ThiThurti KHamoshi ki sahmi sada sun ke
darwaza khola hai un ke liye
jin ke hathon ki larzish mein dastak nahin
mujhe puchhna hai
ki khulte hue phul chalti hawa
aur guzre mah-o-sal ki dastakon par
na ho sakne walon pe aansu bahae hain tum ne
ki main
raat ki ek hichki mein Thahri hui sans hun
aur tumhaari ghani nind ke bazuon se
phisalta hua lams hun
Nazm
Zinda aadmi se kalam
Abrar Ahmad