wo marizan-e-zeyabetis jo aae hain yahan
un mein bachche bhi hain shamil aur buDhe aur jawan
is zamane mein ki jab hai mulk mein har shai giran
ye banate hain shakar baDhti hain jis se talKHiyan
KHun ki nalyon mein cholestrol baDh jae agar
phul ki patti se kaT sakta hai hire ka jigar
KHun mein in ke shakar hai shukr karte hain magar
ye dua dete hain 'insulin' ko sham o sahar
'carbohydrate' aa jate hain jis shai mein nazar
khane pine mein kiya karte hain ye us se hazar
ye jo miThe KHun wale hain inhen malum hai
pencriatic juice mein se in ke kuchh madum hai
ye namak-KHwaran-e-millat jab kahin pite hain chae
aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae
Dalte hain ye sweetics is mein chini ki bajae
jis ko apni jaan piyari ho shakar kas tarah khae
ye hain wo farhad jo shirin se apni dur hain
hai zeyabetis wo baDhiya jis se ye majbur hain
ye jo bachche hain zeyabetis ke gham mein mubtala
ya ilahi in ki gaDi umar ki aise chala
in ke qabu aa ke dab jae maraz ki ye bala
bach rahega ehtiyaton mein agar rah kar pala
shart ye hai zindagi mein nazm ho aur inzibaat
ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat aur ehtiyat
ho zeyabetis jise us ki dawa parhez hai
hai rafiq-e-zindagi ye dukh jo dard-amez hai
is ka phir wirse mein milna bhi tajjub-KHez hai
KHandani qism ka dukh hai hazar-angez hai
warna miTha KHun agar rag mein rawan ho jaega
dosti nadan ki hai, ji ka ziyan ho jaega

Nazm
Zeyabetis ke mariz
Syed Mohammad Jafri