ab koi sahra na unTon ki qataren
ghanTiyan si jagmagati KHwahishon ki
dhyan ke kohre mein lipTi
gungunati hain magar mizrab-e-ainda safar ke
raston ke saz se naraaz hain
main usi andhi gali ki qabr mein marne laga
bhag nikli thi jahan se
zist paidaish ke dukh de kar mujhe
aankh se chipke nazaron ke hazaron dagh hain
jo waqt ki barish se bhi dhulte nahin
kaun si diwar mein raKHne hain kitne
kaun darwazon ko kaisi chaT dimak ki lagi hain
kaun si chhat tak kisi ne
siDhiyon mein Thokaren kitni rakhi hain
har kahani yaad hai
sun mere ham-zad sun!
zindagi ke khoj mein ab
hijraten wajib hain lekin
sarhadon se mawara hain
ya hawaen ya sadaen ya parinde
main tamanna ke jahazon ka musafir
ya passporton aur wison ke air pocket Daraate hain mujhe

Nazm
Zat ki kal koThari se aaKHiri nashriya
Saeed Ahmad