اردو हिंदी
Yun bhi hota hai ki apne-ap aawaz dena paDti hai | Shaahi Shayari
yun bhi hota hai ki apne-ap aawaz dena paDti hai

Nazm

Yun bhi hota hai ki apne-ap aawaz dena paDti hai

Farrukh Yar

;

duniya be-sifati ki aankh se dekh
ye takwin, zaman, zaminen,

masti aur lagan ki lila
ek bahlawa hai

is bahlawe mein ek dastawez hai
jis ka awwal aaKHir

phaTa hua hai
dudhiya raushan

shah-rahon par
kitne yug the

jin mein KHamoshi ke lambe lambe sakte hain
barish aur maTi ka zikr nahin

phir bhi hum ne
mani aur imkan ki be-tartibi mein

udhar udhar se
zinda rahne ka saman kiya

KHwabon ke gadle pani mein machhli dekh ke
harf banae

aur chikni miTTi ki murat par
do aankhen rakkhin

ghaTti baDhti duniyaon tak
masti aur lagan ki lila mein

ab harf hamare dilon ko raushan rakhte hain
lekin jura jura

umron ke dalan mein
apne-ap ko be-KHabari se

bharna paDta hai
nili chhat

ThanDi rakhne ko
tan-man nila karna paDta hai!