mera koi nam nahin
na koi watan
na mazhab
na bap na man hai koi
yun mera hona
bahuton ke nazdik
mashkuk ho gaya
phir har taraf se thu thu hone lagi
mawara se
ghasiTte phiro us ki lash
ek sath kai aawazen buland huin
kai muTThiyan khinchin
laThiyan chalin
talwaren saunti gain
banduqen daghi gain
par sari talwaren
laThiyan aur banduqon ki goliyan
kuchh dur hawa ko chir kar
niche aan girin
jis ka koi nam na ho
na watan
na mazhab
na koi wali waris
use nishane par lana aasan bhi to nahin
ye sab kuchh to
har ek mein chhupa hua hai
kuchh farz kar lena
haqiqat mein kuchh hona to nahin hai
han kisi ki maut farz ki ja sakti hai
kisi bhi la-waris qabr par
kisi bhi nam ka katba lagaya ja sakta hai
sab harami bachche
ek ho jaen
muTThiyan bhench len
laThiyan tan len
talwaren saunt len
banduqen uTha len
aur shust bhi bandh lin
to bhi un ka war KHali hi jata hai
KHali na bhi gaya
to bhi
halakat to KHud un ki honi hai
kyunki
ye sab kuchh to
har ek mein chhupa hua hai
Nazm
Ye sab to
Saeeduddin