Thahar gai aasman ki nadiya
wo ja lagi hai ufaq kinare
udas rangon ki chand nayya
utar gae sahil-e-zamin par
sabhi khawayya
tamam tare
ukhaD gai sans pattiyon ki
chali gain ungh mein hawaen
gajar baja hukm-e-KHamushi ka
to chup mein gum ho gain sadaen
sahar ki gori ki chhatiyon se
Dhalak gai tirgi ki chadar
aur is bajae
bikhar gae us ke tan-badan par
niras tanhaiyon ke sae
aur us ko kuchh bhi KHabar nahin hai
kisi ko kuchh bhi KHabar nahin hai
kisi ko kuchh bhi KHabar nahin hai
ki din Dhale shahr se nikal kar
kidhar ko jaane ka ruKH kiya tha
na koi jada, na koi manzil
kisi musafir ko
ab dimagh-e-safar nahin hai
ye waqt zanjir-e-roz-o-shab ki
kahin se ToTi hui kaDi hai
ye matam-e-waqt ki ghaDi hai
ye waqt aae to be-irada
kabhi kabhi main bhi dekhta hun
utar kar zat ka labaada
kahin siyahi malamaton ki
kahen pe gul-buTe ulfaton ke
kahen lakiren hain aansuon ki
kahen pe KHun-e-jigar ke dhabbe
ye chaak hai panja-e-adu ka
ye mohr hai yar-e-mehrban ki
ye lal lab-ha-e-mah-wishan ke
ye marhamat shaiKH-e-bad-zaban ki
ye jama-e-roz-o-shab-gazida
mujhe ye pairahan-e-darida
aziz bhi, na-pasand bhi hai
kabhi ye farman-e-josh-e-wahshat
ki noch kar is ko phenk Dalo
kabhi ye israr-e-harf-e-ulfat
ki chum kar phir gale laga lo
Nazm
Ye matam-e-waqt ki ghaDi hai
Faiz Ahmad Faiz