soch lo soch lo jine ka ye andaz nahin
apni banhon ka yahi rang numayan na karo
husn KHud zinat-e-mahfil hai charaghan na karo
nim-uryan sa badan aur ubharte sine
tang aur reshmi malbus dhaDakte sine
tar jab TuT gae saz koi saz nahin
tum to aurat ho magar jins-e-giran ban na sakin
aur aankhon ki ye gardish ye chhalakte hue jam
aur kulhon ki lachak mast chakoron ka KHiram
shama jo der se jalti hai na bujhne pae
karwan zist ka is tarah na luTne pae
tum to KHud apni hi manzil ka nishan ban na sakin
raat kuchh bhig chali dur sitare TuTe
tum to aurat hi ke jazbaat ko kho deti ho
taliyon ki isi naddi mein Dubo deti ho
muskurahaT sar-e-bazar bika karti hai
zindagi yas se qadmon pe jhuka karti hai
aur sailab umaDta hai sahaare TuTe
dur haT jao nigahen bhi sulag uTThi hain
warzishon ki ye numaish tu bahut dekh chuka
pinDaliyon ki ye numaish tu bahut dekh chuka
jao ab dusre haiwan yahan aaenge
bhes badle hue insan yahan aaenge
dekhti kya ho ye banhen bhi sulag uTThi hain
soch lo soch lo jine ka ye andaz nahin
Nazm
Ye aurten
Akhtar Payami