diwar pe mazdur ki taswir saja kar
aKHbar ke kone mein KHabar ek laga kar
kuchh card bhi mazdur ke hathon mein uTha kar
do-chaar gharibon ko bhi dharti pe biTha kar
un mein se kisi ek ko stage par la kar
phir us ki kahani sabhi logon ko suna kar
taqrir kara kar to kabhi tali baja kar
mazdur ko mazdur ka irfan dila kar
aur apne tain kar-e-muqaddas ko nibha kar
har sal ye ehsan jatate hain baDe log
mazdur ka phir jashn manate hain baDe log

Nazm
Yaum-e-mazdur
Neel Ahmed