ye may ki pahli, din hai banda-e-mazdur ka
muddaton ke baad dekha is ne jalwa hur ka
ye jo rishta-dar tha hum sab ka lekin dur ka
mill ke malik ne ise rutba diya mansur ka
jab lagaya haq ka nara dar par khincha gaya
naKHl-e-sanat is ke KHun ki dhaar par sincha gaya
aaj labour-union mein shadmani aai hai
aaj mazduron ko yaad apni jawani aai hai
mil ke malik ko magar yaad apni nani aai hai
ya ilahi kya bala-e-asmani aai hai
sunte hain mazdur se malik ka mohra piT gaya
ek ja harf-e-wafa likkha tha wo bhi miT gaya
hota hai 'may-day' ka aur 'may-poll' ka jab intizam
nachte hain bans ke gird aa ke europi awam
lekin ab nachega wo zalim ki jo hai bad-lagam
bans ke bal par dikhae jaise bandar apna kaam
wo jo pahle tha kabhi bandar madari ban gaya
yani mazdur afsar-e-sarmaya-kari ban gaya
baz aise the jo sarmae ke Thekedar the
kahte the mazdur ko KHar aur KHud KHar-kar the
chor-bazari ki jaD the aur baDe baT-mar the
nafa-KHori ke siwa har kaam se bezar the
ab halaq mein un ke jo khaya aTak kar jaega
ghair-mulkon mein na sarmaya bhaTak kar jaega
puchho in sarmaya-daron se ki kab jagoge tum
ya yunhi pite rahoge be-murawwat mai ke KHum
dekho har sal aaegi mah-e-may ki ye yakum
sunte hain sidhi nahin hoti kabhi kutte ki dum
tum magar rakhte ho ek insan ki nok aur palak
be-niyazi had se guzri banda-parwar kab talak
qabil-e-izzat hain is duniya ke mehnat-kash awam
mulk ki daulat hain ye, wajib hai in ka ehtiram
us ke ye member hain labour-union hai jis ka nam
in ki mehnat ke diye jaenge in ko pure dam
ye nahin hoga KHafa ho kar dihaDi kaT di
aadhe raste lae aur engine se gaDi kaT di

Nazm
Yakum may
Syed Mohammad Jafri