ahd-e-gum-gashta ki taswir dikhati kyun ho
ek aawara-e-manzil ko satati kyun ho
wo hasin ahd jo sharminda-e-ifa na hua
us hasin ahd ka mafhum jatati kyun ho
zindagi shoala-e-be-bak bana lo apni
KHud ko KHakistar-e-KHamosh banati kyun ho
main tasawwuf ke marahil ka nahin hun qail
meri taswir pe tum phul chaDati kyun ho
kaun kahta hai ki aahen hain masaib ka ilaj
jaan ko apni abas rog lagati kyun ho
ek sarkash se mohabbat ki tamanna rakh kar
KHud ko aain ke phandon mein phansati kyun ho
main samajhta hun taqaddus ko tamaddun ka fareb
tum rusumat ko iman banati kyun ho
jab tumhein mujh se ziyaada hai zamane ka KHayal
phir meri yaad mein yun ashk bahati kyun ho
tum mein himmat hai to duniya se baghawat kar do
warna man bap jahan kahte hain shadi kar lo
Nazm
Yaksui
Sahir Ludhianvi