aai jab un ki yaad to aati chali gai
har naqsh-e-ma-siwa ko miTati chali gai
har manzar-e-jamal dikhati chali gai
jaise unhin ko samne lati chali gai
har waqia qarib-tar aata chala gaya
har shai hasin-tar nazar aati chali gai
virana-e-hayat ke ek ek goshe mein
jogan koi sitar bajati chali gai
dil phunk raha tha aatish-e-zabt-e-firaq se
dipak ko mai-gusar banati chali gai
be-harf o be-hikayat o be-saz o be-sada
rag rag mein naghma ban ke samati chali gai
jitna hi kuchh sukun sa aata chala gaya
utna hi be-qarar banati chali gai
kaifiyyaton ko hosh sa aata chala gaya
be-kaifiyon ko nind si aati chali gai
kya kya na husn-e-yar se shikwe the ishq ko
kya kya na sharmsar banati chali gai
tafriq-e-husn-o-ishq ka jhagDa nahin raha
tamiz-e-qurb-o-buad miTati chali gai
main tishna-kaam-e-shauq tha pita chala gaya
wo mast ankhDiyon se pilati chali gai
ek husn-e-be-jihat ki faza-e-basit mein
uDti gai mujhe bhi uDati chali gai
phir main hun aur ishq ki betabiyan 'jigar'
achchha hua wo nind ki mati chali gai
Nazm
Yaad
Jigar Moradabadi