dasht-e-tanhai mein ai jaan-e-jahan larzan hain
teri aawaz ke sae tere honTon ke sarab
dasht-e-tanhai mein duri ke KHas o KHak tale
khil rahe hain tere pahlu ke saman aur gulab
uTh rahi hai kahin qurbat se teri sans ki aanch
apni KHushbu mein sulagti hui maddham maddham
dur ufuq par chamakti hui qatra qatra
gir rahi hai teri dildar nazar ki shabnam
is qadar pyar se ai jaan-e-jahan rakkha hai
dil ke ruKHsar pe is waqt teri yaad ne hat
yun guman hota hai garche hai abhi subh-e-firaq
Dhal gaya hijr ka din aa bhi gai wasl ki raat
Nazm
Yaad
Faiz Ahmad Faiz