us ke zahri honT kale paD gae the
us ki aaankhon mein
adhuri KHwahishon ke dewtaon ke
janaze gaD gae the
us ke chehre ki shafaq ka rang
ghael ho chuka tha
us ke jalte jism ki KHushbu ka suraj
parbaton ki choTiyon se niche gir kar
TukDe TukDe ho chuka tha
us ki chhati par
sulagte chand ke sayon ke patthar
rasta roke khaDe the
us ke jalte jism ke jhulse hue sahra mein
pili hasraton ke aasman
pyase paDe the
band kamre mein
meri maujudgi se Dar gai thi
wo mar gai thi
Nazm
Wo mar gai thi
Adil Mansuri