kisi ke baad
apne hathon ki bad-surati mein kho gai hai wo
mujhe kahti hai 'tabish'! tum ne dekha mere hathon ko
bure hain nan?
agar ye KHubsurat the to in mein koi bosa kyun nahin Thahra
ajab laDki hai
pure jism se kaT kar faqat hathon mein zinda hai
surahi-dar gardan narm honTon tez nazron se wo bad-zan hai
ki in apnon ne hi us ko sar-e-bazar phenka tha
kabhi aankhon mein Dubi
aur kabhi bistar pe silwaT ki tarah ubhri
ajab laDki hai
KHud ko DhunDti hai
apne hathon ki lakiron mein
jahan wo thi na hai, aainda bhi shayad nahin hogi
wo jab ungli ghuma kar
'faiz' ki nazmen sunati hai
to is ke hath se pure badan ka dukh jhalakta hai
wo hansti hai to us ke hath rote hain
ajab laDki hai
pure jism se kaT kar faqat hathon mein zinda hai
mujhe kahti hai 'tabish'! tum ne dekha mere hathon ko
bure hain nan?
main shayad gir chuka hun apni nazron se
main chhupna chahta hun us ke thaile mein
jahan cigarette hain machis hai
jo us ka haal mazi aur mustaqbil!
ajab laDki hai
aae to KHushi ki tarah aati hai
use mujh se mohabbat hai
ki shayad mujh mein bhi bad-surati hai us ke hathon ki!
Nazm
Wo hansti hai to uske hath rote hain
Abbas Tabish