wo apne aansu
ek nazuk hair dryer se sukhati hai
jab us ki masnui palken
us ka badan chhupane mein nakaam ho jati hain
das naKHun-tarash
us ke naKHunon ki dekh-bhaal karte hain
wo bachchon ki tarah barte jaane se
tang aa chuki hai
pur-kashish badan ko milne wale tamghon ke darmiyan se
wo machhli ki tarah
tair kar nikal jati hai
apne talwon ke niche
wo gahrai aur drama chahti hai
us ke baal
shampoo ki shishi par likhi hui hidayat par
saKHti se amal karte hain
mahauliyati aaludgi ka KHayal karte hue
wo koi bosa nahin deti
us ka takiya
duniya ke tamam aashiqon ke aansu
jazb kar sakta hai
Nazm
Wo apne aansu ek nazuk hair dryer se sukhati hai
Afzal Ahmad Syed