mazarat chahta hun dost
main ab intizar nahin karta
balki KHud chal paDta hun apni taraf
ek poshida chap ke taaqub mein
KHud se bahar nikalta hun
aur apne hi jaise kisi hujum ka hissa ban kar
apne wajud par iktifa karta hun
apni amiq raushni se naya janm lete hue
KHud ki bunat mein bejoD hone ki kawish
raegan nahin jati
suno!
samay ke bhed-bhao mein apna taKHmina lagate hue
zat ki jama-punji mein se
main tumhein apni hissiyat se mustarad nahin karta
bisat bhar sabr aur ek muTThi visal ke ewaz
main tumhein kashid karta hun apne atraf se
aur gunjaish paida karta hun tumhaari mezbani ke liye
kisi aur jihat se apne-ap mein
lekin mazarat
main intizar nahin kar sakta
apni ragon mein bahte hue us dukh ke pighalne ka
jo apne bahaw mein meri tawajjoh baha le ja sakta hai
apne sath
main tai-shuda guzargahon ka musafir nahin
mujhe to har imkan se guzar kar aana hai tumhaari samt
aur han
main to apna bhi intizar nahin karta hun ab!!!
Nazm
Visal ki tisri samt
Anjum Saleemi