muD kar pichhe dekh rahi hun
kya kya kuchh wirse mein mila tha
aur kya kuchh main chhoD rahi hun
mera ghar tufan-zada tha
mere buzurgon ne dekha tha
wo ifrit-e-waqt ki jis ne
un se sab kuchh chhin liya tha
phir bhi kya kuchh mujh ko mila tha
chehron par mehnat ki chamak thi
aankhon mein ghairat ki damak thi
hath mein hath dhare the kaise
KHali hath bhare the kaise
mil-jul kar rahne ki rawish thi
zinda rahne ki KHwahish thi
ye sab kuchh us ghar se mila tha
wo ghar jo ek KHali ghar tha
main ne ek bhare kumbe mein
apne hanste-baste ghar mein
KHauf ka wirsa chhoD diya hai
rishta-e-jurat toD diya hai
lahjon mein lafzon ki bachat hai
qurbat mein kitni wahshat hai
apni KHushiyan apne aangan
apne khilaune apne daman
muD kar pichhe dekh rahi hun
kya kya kuchh wirsa mein mila tha
aur kya kuchh main chhoD rahi hun
Nazm
Wirsa
Zehra Nigaah