main ne ek din KHwab mein dekha ki ek mujh sa faqir
gardish-e-paimana-e-imroz-o-farda ka asir
garche bilkul be-gunah tha ho gaya lekin wazir
yani ek jhonka jo aaya bujh gai sham-e-zamir
muft mein koThi mili motor mili pa mila
jab gaya picnic pe bahar tour ka Ta mila
jab hua mujh par mulamma baDh gai kuchh aab-o-tab
Dal li masrufiyat ki apne chehre par naqab
mujh se izzat-dar Darte hain main hun izzat-maab
in ki mi binam ba bedarist yarab ya ba KHwab
KHud bhi dil mein soch kar ye baat sharmata hun main
raste viran ho jate hain jab jata hun main
ab ye haalat hai ghiza achchhi hai kapDe bhi nafis
aur angrezi zaban bhi bol leta hun salis
mujh se milne ke liye aate hain mulkon ke rais
raat din lekin nazar mein mujh ko rakhti hai police
sab mujhe pahchante hain kis qadar pani mein hun
hun nigahban qaum ka aur KHud nigahbani mein hun
mujh se milne ko sharif insan aa sakte nahin
bar-e-gham yaran-e-derina uTha sakte nahin
dard-e-dil sunte nahin mujh ko suna sakte nahin
biwi aur bachche bhi khana sath kha sakte nahin
sun ke ye farzand se hoti hai hairani mujhe
likh diya min-jumla-e-asbab-e-virani mujhe
meri surat ko tarasta hai jo tifl-e-shir-KHar
ho chuke hain is ke abba mulk-o-millat par nisar
sab KHushamad-pesha, duniya-dar aur be-rozgar
raat din milne ko aate hain qatar-andar-qatar
jo bhi aae us se wada kuchh na kuchh karta hun main
sar par aa pahuncha election is liye Darta hun main
filen ghar mein paDi hain aur daftar mein hai ghar
shaghl-e-bekari bahut hai waqt behad muKHtasar
raat din sar par musallat lunch asrane dinner
aur hukumat KHarch agar de de to haj ka bhi safar
aaj-kal pesh-e-nazar hai mulk-o-millat ki falah
ek bhatije ki dukan ka bhi karunga iftitah
mulk ke andar jo aKHbaron ke hain nama-nigar
jin ko ba-izzat nahin milta hai koi rozgar
chae ki dawat pe ghar bulwa ke un ko bar bar
un se kahta hun ki likkho kuchh na kuchh hum par bhi yar
wo ye likh dete hain akasr achchhi baaten is ki hain
nind us ki hai dimagh us ka hai raaten us ki hain
mujh se milne aae bairuni mamalik se bashar
wo hain meri mamlikat se mujh se zyaada ba-KHabar
chahta hun main ki un se guftugu ho muKHtasar
wo ye kahte hain ki rakh do sare daftar khol kar
wo zamin ki puchhte hain aasman kahta hun main
jab samajh mein kuchh nahin aata to han kahta hun main
mulk ka gham hai na hum ko millat-e-baiza ka gham
barq se karte hain raushan sham-e-matam-KHana ham
garche jahil hun par itna jaanta hun kam se kam
sari duniya mein agar kuchh hai to insan ka shikam
ai shikam mere tan-e-fani ke sadr-e-anjuman
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
mere ek sale ki ek sasural ka ek rishta-dar
apni koshish se mulazim ho gaya tha ek bar
kyunki jo sab ka hai us ka bhi hai wo parwardigar
KHwesh-parwar hakimon mein ho gaya mera shumar
ab aziz aa jaen milne ko to ghabraata hun main
DhunDte phirte hain mujh ko ghar mein kho jata hun main
bargah-e-haq mein hazir ho ke main ne ki dua
peT se machhli ke yunus ko kiya tu ne riha
qaid se yusuf ko tu ne izn-e-azadi diya
is bhayanak KHwab se aazad kar mujh ko KHuda
main nikala jaunga be-dast-o-pa aur sar khula
jitne arsa mein mera lipTa hua bistar khula

Nazm
Wazir ka KHwab
Syed Mohammad Jafri