zamin hind ki rutba mein arsh-e-ala hai
ye home-rule ki ummid ka ujala hai
mrs-besant ne is aarzu ko pala hai
faqir qaum ke hain aur ye rag mala hai
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
watan-parast shahidon ki KHak laenge
hum apni aankh ka surma use banaenge
gharib man ke liye dard-dukh uThaenge
yahi payam-e-wafa qaum ko sunaenge
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
hamare waste zanjir-o-tauq gahna hai
wafa ke shauq mein gandhi ne jis ko pahna hai
samajh liya ki hamein ranj-o-dard sahna hai
magar zaban se kahenge wahi jo kahna hai
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
pahnane wale agar beDiyan pahnaenge
KHushi se qaid ke goshe ko hum basaenge
jo santari dar-e-zindan ke bhi so jaenge
ye rag ga ke unhen nind se jagaenge
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
zaban ko band kiya hai ye ghafilon ko hai naz
zara ragon mein lahu ka bhi dekh len andaz
rahega jaan ke ham-rah dil ka soz-o-gudaz
chita se aaegi marne ke baad ye aawaz
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
yahi dua hai watan ke shikasta haalon ki
yahi umang jawani ke naunihaalon ki
jo rahnuma hai mohabbat pe miTne walon ki
hamein qasam hai usi ke saped baalon ki
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
yahi payam hai koyal ka bagh ke andar
isi hawa mein hai ganga ka zor aaTh-pahr
hilal-e-id ne di hai yahi dilon ko KHabar
pukarta hai himala se abr uTh uTh kar
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
base hue hain mohabbat se jin ki qaum ke ghar
watan ka pas hai un ko suhag se baDh kar
jo shir-KHar hain hindostan ke laKHt-e-jigar
ye man ke dudh se likkha hai un ke sine par
talab fuzul hai kanTe ki phul ke badle
na len bahisht bhi hum home-rule ke badle
Nazm
Watan ka rag
Chakbast Brij Narayan