bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
har rut har ek mausam is ka kaisa pyara pyara hai
kaisa suhana kaisa sundar pyara des hamara hai
dukh mein sukh mein har haalat mein bhaarat dil ka sahaara hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
sare jag ke pahaDon mein be-misl pahaD himala hai
parbat sab se uncha hai ye parbat sab se nirala hai
bhaarat ki rakhsha karta hai bhaarat ka rakhwala hai
lakhon chashme bahte hain is mein lakhon nadiyon wala hai
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
ganga-ji ki pyari lahren git sunati jati hain
sadiyon ki tahzib hamari yaad dilati jati hain
bhaarat ki gulzaron ko sarsabz banati jati hain
kheton ko hariyali deti phul khilati jati hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
hare-bhare hain khet hamare duniya ko an dete hain
chandi sone ki kanon se hum jag ko dhan dete hain
prem ke pyare phul ki KHushbu gulshan gulshan dete hain
amn-o-aman ki neamat sab ko bhar bhar daman dete hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
'krishn' ki bansi ne phunki hai ruh hamari jaanon mein
'gautam' ki aawaz basi hai mahlon mein maidanon mein
'chishti' ne jo di thi mai wo ab tak hai paimanon mein
'nanak' ki talim abhi tak gunj rahi hai kanon mein
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
mazhab kuchh ho hindi hain hum sare bhai bhai hain
hindu hain ya muslim hain ya sikh hain ya isai hain
prem ne sab ko ek kiya hai prem ke hum shaidai hain
bhaarat nam ke aashiq hain hum bhaarat ke saudai hain
bhaarat pyara desh hamara sab deshon se nyara hai
Nazm
Watan ka rag
Afsar Merathi