ai watan pak watan ruh-e-rawan-e-ahrar
ai ki zarron mein tere bu-e-chaman rang-e-bahaar
ai ki KHwabida teri KHak mein shahana waqar
ai ki har KHar tera ru-kash-e-sad-ru-e-nigar
reze almas ke tere KHas-o-KHashak mein hain
haDDiyan apne buzurgon ki teri KHak mein hain
pai ghunchon mein tere rang ki duniya hum ne
tere kanTon se liya daras-e-tamanna hum ne
tere qatron se suni qirat-e-dariya hum ne
tere zarron mein paDhi aayat-e-sahra hum ne
kya bataen ki teri bazm mein kya kya dekha
ek aaine mein duniya ka tamasha dekha
teri hi gardan-e-rangin mein hain banhen apni
tere hi ishq mein hain subh ki aahen apni
tere hi husn se raushan hain nigahen apni
kaj huin teri hi mahfil mein kulahen apni
bankpan sikh liya ishq ki uftadon se
dil lagaya bhi to tere hi pari-zadon se
pahle jis chiz ko dekha wo faza teri thi
pahle jo kan mein aai wo sada teri thi
palna jis ne hilaya wo hawa teri thi
jis ne gahware mein chuma wo saba teri thi
awwalin raqs hawa mast ghaTaen teri
bhigi hain apni masen aab-o-hawa mein teri
ai watan aaj se kya hum tere shaidai hain
aankh jis din se khuli tere tamannai hain
muddaton se tere jalwon ke tamashai hain
hum to bachpan se tere aashiq-o-saudai hain
bhai tifli se har ek aan jahan mein teri
baat tutla ke jo ki bhi to zaban mein teri
husn tere hi manazir ne dikhaya hum ko
teri hi subh ke naghmon ne jagaya hum ko
tere hi abr ne jhulon mein jhulaya hum ko
tere hi phulon ne nau-shah banaya hum ko
KHanda-e-gul ki KHabar teri zabani aai
tere baghon mein hawa kha ke jawani aai
tujh se munh moD ke munh apna dikhaenge kahan
ghar jo chhoDenge to phir chhawni chhaenge kahan
bazm-e-aghyar mein aaram ye paenge kahan
tujh se hum ruTh ke jaen bhi to jaenge kahan
tere hathon mein hai qismat ka nawishta apna
kis qadar tujh se bhi mazbut hai rishta apna
ai watan josh hai phir quwwat-e-imani mein
KHauf kya dil ko safina hai jo tughyani mein
dil se masruf hain har tarah ki qurbani mein
mahw hain jo teri kashti ki nigahbani mein
gharq karne ko jo kahte hain zamane wale
muskuraate hain teri naw chalane wale
hum zamin ko teri napak na hone denge
tere daman ko kabhi chaak na hone denge
tujh ko jite hain to ghamnak na hone denge
aisi iksir ko yun KHak na hone denge
ji mein Thani hai yahi ji se guzar jaenge
kam se kam wada ye karte hain ki mar jaenge
Nazm
Watan
Josh Malihabadi