sabza o barg o lala o sarw-o-saman ko kya hua
sara chaman udas hai hae chaman ko kya hua
ek sukut har taraf hosh-ruba o haul-nak
KHuld-e-watan ke pasban KHuld-e-watan ko kya hua
raqs-e-tarab kidhar gaya naghma-taraaz kya hue
ghamza-o-naz kya hue ishwa o fan ko kya hua
jis ki nawa-e-dil-sitan zaKHma-e-saz-e-shauq thi
koi batao us but-e-ghuncha-dahan ko kya hua
chashmak-e-dam-ba-dam nahin mashq-e-KHiram-o-ram nahin
mere ghazal kya hue mere KHutan ko kya hua
chhai hai kyun fasurdagi aalam-e-husn-o-ishq par
aaj wo nal kidhar gae aaj daman ko kya hua
aankhon mein KHauf o yas hai chehra udas udas hai
asr-e-rawan ki laila-e-burqa-fagan ko kya hua
aah KHirad kidhar gai aah junun ne kya kiya
aah shabab-e-KHugar-dar-o-rasan ko kya hua
koi batae azmat-e-KHak-e-watan kahan hai ab
koi batae ghairat-e-ahl-e-watan ko kya hua
koh wahi daman wahi dasht wahi chaman wahi
phir ye 'majaz' jazba-e-hubb-e-watan ko kya hua
Nazm
Watan-ashob
Asrar-ul-Haq Majaz