pyare beTe ibrahim
tumhein shikayat hai ki ek arse se main ne kuchh likha likha ya nahin
'iqbaal' ne kaha tha
nale bulbul ke sunun aur hama-tan gosh rahun
ham-nawa main bhi koi gul hun ki KHamosh rahun
phir 'faiz' ne kaha tha
bol ki lab aazad hain tere
bahut uksata hun apne-ap ko
lekin zaban ki girah khulti hi nahin
aur dil ka shoala-lab mojiz-bayan par aata hi nahin
hae 'nasir'-kazmi'
bas 'ghaalib' ki tarah kan lapeT kar baiTh jata hun
khula kar faeda arz-e-hunar mein KHak nahin
bolunga to sunega kaun
kisi ke kan mein paD bhi gai to samjhega kaun
aaj-kal to baDe baDe khaD-penchon ki haalat ye hai
ki koi sunta hai to samajhta nahin
koi samajhta hai to sunta nahin
aur bahut hain jo sunte bhi nahin samajhte bhi nahin
phir mere pas nale ko hai kiya
kaun si zaruri baat hai jo an-kahi rah gai hai
sare falsafe sare nazariye sare masail to bayan ho chuke
shairon ne latif se latif jazbe ko sau sau tarah se bandh Dala
mausiqaron ne nazuk se nazuk ehsas ko paband le kar diya
na kisi ke liye kuchh kahne ko baqi hai
na kisi mein sunne ka yara hai
yahi ghanimat hai ki dil bhar aae to munh hi munh mein kuchh baDbaDa len
aaKHir jab KHuda ne abhi KHudai na banai thi
to akele mein kya karta ho wo
KHud hi bolta hoga KHud hi sunta hoga wo
mera ye maqam to nahin lekin haalat yahi hai
KHud hi bolta hun KHud hi sunta hun
bas ye samajh mein nahin aata ki kaha kya hai aur suna kya hai
waise ye samjhe samjhane wali baat bhi TeDhi KHair hai
'ghaalib' ne kaha tha
bak raha hun junun mein kya kya kuchh kuchh na samjhe KHuda kariye koi
aur is se pahle 'mir-dard' ne bahut dard se bataya tha
samajhte the na magar sunte the tarana-e-dard samajh mein aane laga jab to phir suna na gaya
wassalam

Nazm
Wassalam
Mohammad Haneef Rame