ye waqt kya hai
ye kya hai aaKHir ki jo musalsal guzar raha hai
ye jab na guzra tha
tab kahan tha
kahin to hoga
guzar gaya hai
to ab kahan hai
kahin to hoga
kahan se aaya kidhar gaya hai
ye kab se kab tak ka silsila hai
ye waqt kya hai
ye waqiye
hadse
tasadum
har ek gham
aur har ek masarrat
har ek aziyyat
har ek lazzat
har ek tabassum
har ek aansu
har ek naghma
har ek KHushbu
wo zaKHm ka dard ho
ki wo lams ka ho jadu
KHud apni aawaz ho ki mahaul ki sadaen
ye zehn mein banti aur bigaDti hui fazaen
wo fikr mein aae zalzale hon ki dil ki halchal
tamam ehsas
sare jazbe
ye jaise patte hain
bahte pani ki sath par
jaise tairte hain
abhi yahan hain
abhi wahan hain
aur ab hain ojhal
dikhai deta nahin hai lekin
ye kuchh to hai
jo ki bah raha hai
ye kaisa dariya hai
kin pahaDon se aa raha hai
ye kis samundar ko ja raha hai
ye waqt kya hai
kabhi kabhi main ye sochta hun
ki chalti gaDi se peD dekho
to aisa lagta hai
dusri samt ja rahe hain
magar haqiqat mein
peD apni jagah khaDe hain
to kya ye mumkin hai
sari sadiyan
qatar-andar-qatar apni jagah khaDi hon
ye waqt sakit ho
aur hum hi guzar rahe hon
is ek lamhe mein
sare lamhe
tamam sadiyan chhupi hui hon
na koi aainda
na guzishta
jo ho chuka hai
jo ho raha hai
jo hone wala hai
ho raha hai
main sochta hun
ki kya ye mumkin hai
sach ye ho
ki safar mein hum hain
guzarte hum hain
jise samajhte hain hum
guzarta hai
wo thama hai
guzarta hai ya thama hua hai
ikai hai ya baTa hua hai
hai munjamid
ya pighal raha hai
kise KHabar hai
kise pata hai
ye waqt kya hai
ye kaenat-e-azim
lagta hai
apni azmat se
aaj bhi mutmain nahin hai
ki lamha lamha
wasia-tar aur wasia-tar hoti ja rahi hai
ye apni banhen pasarti hai
ye kahkashaon ki ungliyon se
nae KHalaon ko chhu rahi hai
agar ye sach hai
to har tasawwur ki had se bahar
magar kahin par
yaqinan aisa koi KHala hai
ki jis ko
in kahkashaon ki ungliyon ne
ab tak chhua nahin hai
KHala
jahan kuchh hua nahin hai
KHala
ki jis ne kisi se bhi kun suna nahin hai
jahan abhi tak KHuda nahin hai
wahan
koi waqt bhi na hoga
ye kaenat-e-azim
ek din
chhuegi
is an-chhue KHala ko
aur apne sare wajud se
jab pukaregi
kun
to waqt ko bhi janam milega
agar janam hai to maut bhi hai
main sochta hun
ye sach nahin hai
ki waqt ki koi ibtida hai na intiha hai
ye Dor lambi bahut hai
lekin
kahin to is Dor ka sira hai
abhi ye insan ulajh raha hai
ki waqt ke is qafas mein
paida hua
yahin wo pala-baDha hai
magar use ilm ho gaya hai
ki waqt ke is qafas se bahar bhi ek faza hai
to sochta hai
wo puchhta hai
ye waqt kya hai
Nazm
Waqt
Javed Akhtar