alassabah ki thi kaenat sar-ba-sujud
falak pe shor-e-azan tha zamin pe bang-e-durud
bahaar shabnam-asuda thi ki ruh-e-KHalil
farogh-e-lala-o-gul tha ki aatish-e-namrud
jala rahi thi hawa bazm-e-jaan mein sham-e-tarab
miTa rahi thi saba lauh-e-dil se naqsh-e-jumud
gulon ke rang mein thi shan-e-KHanda-e-yusuf
kali ke saz mein tha lutf-e-naghma-e-daud
har ek jabin pe daraKHshan tha nayyar-e-iqbaal
har ek farq pe taban tha tala-e-masud
faza-e-charKH mein dauDi hui thi ruh-e-zuhur
bisat-e-KHak pe chhaya hua tha rang-e-numud
hasin KHwab se chaunke the rasmasae hue
machal rahi thi hawaon mein bu-e-ambar-o-bud
ye rang dekh kar aaya mujhe KHayal-e-namaz
meri namaz ki hai shahid-o-sharab-o-surud
meri namaz ki hai naghma-e-huwal-baqi
meri namaz ki hai nara-e-huwal-maujud
meri namaz ki hai ishq-e-nazir-o-manzur
meri namaz ki hai hubb-e-shahid-o-mashhud
meri namaz ki hai ek saz-e-la-fani
mari namaz ki hai ek soz-e-la-mahdud
meri namaz ki hai did ru-e-na-shusta
meri namaz ki hai tauf-e-husn-e-KHwab-alud
meri namaz nazar shaiKH ki namaz alfaz
yahan charagh wahan sirf sham-e-kushta ka dud
yahan hai rishta-e-anfas mein tarannum-e-dost
yahan latafat-e-ehsas se ziyan hai na sud
fughan ki jumbish-e-aza wahan asas-e-namaz
KHosha ki larzish-e-dil hai yahan qayam o quud
kisi maqam pe hasil nahin qarar mujhe
sahar ko hun jo barahman to sham ko mahmud
gharaz ki aate hi waqt-e-sahar KHayal-e-namaz
jabin thi pa-e-sanam par zaban pe ya-mabud!
tamam raaz-e-nihan khul gae mere dil par
ze-takiya-gah-e-adam ta-ba-kargah-e-wajud
sar-e-niyaz se zahir hua tabassum-e-naz
butun-e-KHak se paida hua dur-e-maqsud
uTha ke phir sar-e-pur-shauq pa-e-jaanan se
kaha ye main ne ki ai sarw-e-bostan-e-wajud
biya biya ki tera tang dar kanar kushem
ze-bosa-mehr-kunam bar-lab-e-shakar-alud
mere labon ko bhi de ruKHsat-e-tarana-e-hamd
har ek zarra hai is waqt aashna-e-durud
ye sun ke sharm se koi jawab ban na paDa
jhuki nigah-e-jabin ho gai araq-alud
haya ne baDh ke pukara ye kahishen be-kar
nazar ne jhuk ke sada di ye kawishen be-sud
dahan-e-yar ki darman-e-dard-e-'hafiz' dasht
fughan ki waqt-e-murawwat che tang hausla bud
Nazm
Waqt-e-murawwat
Josh Malihabadi