hamesha se wahi maKHdush haalat
ek aadhi meingni dum se lagi hai
nak mein balgham bhara hai
haDDiyan ubhri hui hain pusht ki
do roz pahle hi
munDi hai un meri
sardiyon ke din hain
chaTyal be-numu maidan mein
rewaD ke andar
sar jhukae
ghas ki ummid mein
maddham shikasta chaal chalta
KHushk DanThal
aur polythene ke murda lifafon ko chabaata
din Dhale baDe mein aata hun
hamesha se wahi dozaKH ki bhaari raat
kohna KHauf ka asrar
gahri bu
nukili qatliyon wale suar
kutton ki lambi bhunk
kohre aur andhere ki chaDhai
bheDiyon ke dant
KHatra!
subh-dam baDe mein
koi aadmi aata hai
moTi chhaal ki rassi gale mein Dalta hai
zabh-KHane ki taraf chalta hai
duniya apne andar mast hai
arz-o-sama apni jagah maujud hain
pani usi surat se dariyaon mein bahta hai
pahaDon ki wahi istadgi
sab kuchh wahi hai
hast ki sansen
musalsal chal rahi hain
muzmahil kamzor Tangen
ek duje se ulajhti dastiyan
be-maegi ka aaKHiri lamha
zaban-e-be-zabani
ek dam gardan pe
tezi se chhuri chalti hai
qissa KHatm hota hai
hamesha se yahan qurban hota aa raha hun
kar-amad jaanwar hun
khaal se jute
sunahri un se banti hain sar ki Topiyan
aur gosht pakta hai
Nazm
Wahi maKHdush haalat
Rafiq Sandelvi