jine ka haq samraj ne chhin liya
uTTho marne ka haq istimal karo
zillat ke jine se marna behtar hai
miT jao ya qasr-e-sitam pamal karo
samraj ke dost hamare dushman hain
inhi se aansu aahen aangan aangan hain
inhi se qatl-e-am hua aashaon ka
inhi se viran ummidon ka gulshan hai
bhuk nang sab den inhi ki hai logo
bhul ke bhi mat in se arz-e-haal karo
jine ka haq samraj ne chhin liya
uTTho marne ka haq istimal karo
subh-o-sham filistin mein KHun bahta hai
saya-e-marg mein kab se insan rahta hai
band karo ye bawardi ghunda-gardi
baat ye ab to ek zamana kahta hai
zulm ke hote amn kahan mumkin yaro
ise miTa kar jag mein amn bahaal karo
jine ka haq samraj ne chhin liya
uTTho marne ka haq istimal karo
Nazm
UTTho marne ka haq istimal karo
Habib Jalib