wasia shahr mein ek chiKH kya sunai de
bason ke shor mein railon ki gaDgaDahaT mein
chahal-pahal mein bhiDon jaisi bhanbhanahat mein
kisi ko pakDo sar-e-rah mar do chahe
kisi afifa ki ismat utar do chahe!
wasia shahr mein ek chiKH kya sunai de!
azim shahr baDe kaamon ke liye hain miyan
wazir-e-ala ki taqrir, leaderon ke julus
siyasaton ke mazahir, KHulus bahr-e-KHulus
ye rat-jagon ki jagah, naw-nosh ka gaDh hai
ye tum se kis ne kaha ilm o hosh ka gaDh hai
abhi abhi shah-e-qufqaz aae hain dekho
muazzizin-e-urus-ul-bilad sab mil kar
sipas-nama unhen is tarah karenge pesh
ki jaise dil ki kali phul ho gai khil kar
phir is ke baad kisi bank ke baDe karta
koi safir kisi desh ke nae mukhiya
mushir-e-sanati mansuba-bandiyon ke liye
jatan saqafati aaina-saziyon ke liye
baDe plan, baDi yojna, baDi baaten
ziyafaten baDe hotel, baDi baDi ghaten!
azim shahr baDe kaamon ke liye hai miyan!
yahan mazar hain un ke bhi jin ke nam nahin
sunahri shahr ki tasKHir karne aae the
unhen shikam se bahut dur aage jaana tha
wo is jahan ki tamir karne aae the!
baDe dimagh the tabba the zahin the sab
magar siyasat-e-duniya mein kam-tarin the sab
azim shahr baDe kaamon ke liye hain miyan
shikast-e-dil koi roket hai jo dikhai de
azim shahr mein ek chiKH kya sunai de!
Nazm
Urus-ul-bilad
Akhtar-ul-Iman