urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
main 'mir' ki hamraaz hun 'ghaalib' ki saheli
dakkan ke 'wali' ne mujhe godi mein khelaya
'sauda' ke qasidon ne mera husn baDhaya
hai 'mir' ki azmat ki mujhe chalna sikhaya
main dagh ke aangan mein khili ban ke chameli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
'ghaalib' ne bulandi ka safar mujh ko sikhaya
'haali' ne murawwat ka sabaq yaad dilaya
'iqbaal' ne aaina-e-haq mujh ko dikhaya
'momin' ne sajai mere KHwabon ki haweli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
hai 'zauq' ki azmat ki diye mujh ko sahaare
'chakbast' ki ulfat ne mere KHwab sanware
'fani' ne sajae meri palkon pe sitare
'akbar' ne rachai meri be-rang hatheli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
kyun mujh ko banate ho tassub ka nishana
main ne to kabhi KHud ko musalman nahin mana
dekha tha kabhi main ne bhi KHushiyon ka zamana
apne hi watan mein hun magar aaj akeli
urdu hai mera nam main 'KHusraw' ki paheli
Nazm
Urdu
Iqbal Ashhar