ek majma-e-rangin mein wo ghabrai hui si
baiThi hai ajab naz se sharmai hui si
aankhon mein haya lab pe hansi aai hui si
honTon pe fida ruh-e-bahaar-o-gul-o-nasrin
aankhon ki chamak ru-kash-e-bazm-e-mah-o-parwin
pairahan-e-zar-tar mein ek paikar-e-simin
lahren si wo leta hua ek phul ka sehra
sehre mein jhamakta hua ek chand sa chehra
ek rang sa ruKH par kabhi halka kabhi gahra
har sans mein ehsas-e-farawan ki kahani
KHamoshi-e-mahbub mein ek sail-e-maani
jazbaat ke tufan mein hai doshiza jawani
fitrat nae jazbaat ke dar khol rahi hai
mizan-e-jawani mein use taul rahi hai
lab sakit o samit hain nazar bol rahi hai
sarshaar nigahon mein haya jhum rahi hai
hain raqs mein aflak zamin ghum rahi hai
shair ki wafa baDh ke qadam chum rahi hai
ai tu ki tere dam se meri zamzama-KHwani
ho tujh ko mubarak ye teri nur-jahani
afkar se mahfuz rahe teri jawani
chhalke teri aankhon se sharab aur ziyaada
mahken tere aariz ke gulab aur ziyaada
allah kare zor-e-shabab aur ziyaada
Nazm
Un ka jashn-e-sal-girah
Asrar-ul-Haq Majaz