wo subh kabhi to aaegi
un kali sadiyon ke sar se jab raat ka aanchal Dhalkega
jab dukh ke baadal pighlenge jab sukh sagar chhalkega
jab mera jhum ke nachega jab dharti naghme gaegi
wo subh kabhi to aaegi
jis subh ki KHatir jag jag se hum sab marmar ke jite hain
jis subh ke amrit ki dhun mein hum zahr ke pyale pite hain
in bhuki pyasi ruhon par ek din to karam farmaegi
wo subh kabhi to aaegi
mana ki abhi tere mere armanon ki qimat kuchh bhi nahin
miTTi ka bhi hai kuchh mol magar insanon ki qimat kuchh bhi nahin
insanon ki izzat jab jhuTe sikkon mein na toli jaegi
wo subh kabhi to aaegi
daulat ke liye jab aurat ki ismat ko na becha jaega
chahat ko na kuchla jaega ghairat ko na becha jaega
apne kale kartuton par jab ye duniya sharmaegi
wo subh kabhi to aaegi
bitenge kabhi to din aaKHir ye bhuk ke aur bekari ke
TuTenge kabhi to but aaKHir daulat ki ijara-dari ke
jab ek anokhi duniya ki buniyaad uThae jaegi
wo subh kabhi to aaegi
majbur buDhapa jab suni rahon ki dhul na phankega
masum laDakpan jab gandi galiyon mein bhik na mangega
haq mangne walon ko jis din suli na dikhai jaegi
wo subah kabhi to aaegi
faqon ki chitaon par jis din insan na jalae jaenge
sine ke dahakte dozaKH mein arman na jalae jaenge
ye narak se bhi gandi duniya jab sowarg batai jaegi
wo subh kabhi to aaegi
Nazm
Umid
Sahir Ludhianvi