umr ki Dhalti hui dopahar mein
ThanDi hawa ke jhonke ka ehsas bhi
aadmi ko taza-dam kar deta hai
aur agar sach-much KHunuk hawaen
thakan-nasib jism se khelne lagen
to shab ki tariki KHizab jaisi dikhai deti hai
aas-pas gardish karta hua sannaTa
aarzuon ki gahmagahmi se gunjne lagta hai
KHwab tabiron ki talash mein bhaTakne lagte hain
badan ki uktahaTen chaupal ke shor-sharabe mein Dub jati hain
Dhalte hue suraj ki lali se suhag joDe ki KHushbu
aane lagti hai
lekin KHwabida aarzuon ki shahrah se guzarte hue
log
apni manzil ka pata bhul jate hain
isi pata bhulne ko samaj
dharm aur mazhab ki aaD le kar
aisi ba-huda galiyan deta hai
jo twaifon ke mohallon mein bhi nahin
sunai detin
Nazm
Uktae hue badan
Munawwar Rana