TuTe shishe ki aaKHiri nazm
bhagte waqt ko main aaj pakaD laya hun
ye mera waqt mere zehn ki taKHliq sahi
raat aur din ke tasalsul ko pareshan kar ke
main ne lamhat ko ek rup diya
subh ko raat ki zanjir se aazad kiya
KHwab-o-bedi ki diwar gira di main ne
zindagi maut se kab tak yun hirasan rahti
kya hua waqt o haqiqat ka zawal
main
apni TuTi hui zanjir kahan dafn karun
har taraf qabren mujawir hain
dewtaon ke muqaddas ajsam
har jagah dafn hain
koi virana nahin dur talak
kya mujhe apne hi zehn ke is goshe mein
TuTe aadarshon ke aaine mein
waqt ke aks ko dafnana hai
Nazm
TuTe shishe ki aaKHiri nazm
Baqar Mehdi