dekha tu ne kuchh malik
art-gallery teri
aur ye us ki taswiren
be-rahm riwajon ki
makDiyon ke jalon mein
nim-jaan manazir ki
Dher par se kuDe ke
roTi chunte bachchon ki
shahr ke slum nami
be-nasab Thikanon ki
kitni be-waqat hain ye
jab talak Picasso sa
koi ek musawwir in
bhuk khae Dhanchon ko
painting mein na jaD de
camera koi jab tak
in slum Thikanon ko
oscar mein na dhar de
aaj ki numaish mein
namwar musawwir ke
fan pe
unchi boli ka
wo jo ek tamasha tha
tu ne dekha tha malik?
mere bhuke hathon mein
kuDe wali roTi ka
wo jo ek TukDa tha
sukhe phul ke jaisa
wo jo mera chehra tha
aaj ki numaish mein
kitna qimti tha wo
aaj ek musawwir ne
kitna mahnga becha tha
oscar ke mele mein
meri gandi basti ke
gham-zada slum ne jo
sirf chand lamhon ko
iftiKHar jita tha
tu ne dekha tha malik?
tu bhi tha wahan malik?
tu bhi roya tha malik?
Nazm
Tu bhi roya tha malik?
Naseem Syed