tum kis se milne aae ho
kis chehre se kaam hai tum ko
kin aankhon se baat karoge
tum jo chehra dekh rahe ho
us mein hain kitne hi chehre
jin ko lagae main phirta hun
tum kis se milna chahoge
us shair se jis ko tum ne
dekha hai stage pe aksar
sab ko bhule KHud ko bhulae
badmaston ka bhes banae
jis ne falak par hukm chalae
sang-e-malamat jis par aae
mahfil ki mahfil jhum uTThi
jis ne aise sher sunae
tum kis se milne aae ho
us lambe gore chehre se
jis par aag ke phul khile hain
jo ek sidhe qadam ko sambhaale
dil mein saikDon zaKHm chhupae
apni ana ki lash uThae
kam-zarfon ki is duniya mein
kitne yugon se sargardan hai
tum kis se milne aae ho
us insan se jis ke andar
ek qatil zani sariq ke
tinon chehre ek hue hain
lekin us ke hath bandhe hain
pairon mein zanjiren paDi hain
aur wo qatil ab buzdil hai
aur wo zani ab shauhar hai
aur wo sariq ab munsif hai
tum kis se milne aae ho
main KHud apne aap se mil kar
pahron soch mein paD jata hun
kis chehre se baat karun

Nazm
Tum kis se milne aae ho
Sulaiman Areeb