jashn bapa hai kuTiyaon mein unche aiwan kanp rahe hain
mazduron ke bigDe tewar dekh ke sultan kanp rahe hain
jage hain iflas ke mare uThe hain be-bas dukhiyare
sinon mein tufan ka talatum aankhon mein bijli ke sharare
chauk chauk par gali gali mein surKH pharere lahraate hain
mazlumon ke baghi lashkar sail-sifat umDe aate hain
shahi darbaron ke dar se fauji pahre KHatm hue hain
zati jagiron ke haq aur mohmal dawe KHatm hue hain
shor macha hai bazaron mein TuT gae dar zindanon ke
wapas mang rahi hai duniya ghasab-shuda haq insanon ke
ruswa-bazari KHatunen haqq-e-nisani mang rahi hain
sadiyon ki KHamosh zabanen sahr-e-nawai mang rahi hain
rondi kuchli aawazon ke shor se dharti gunj uThi hai
duniya ke ina-e-nagar mein haq ki pahli gunj uThi hai
jama hue hain chaurahon par aa ke bhuke aur gadagar
ek lapakti aandhi ban kar ek bhabakta shoala ho kar
kandhon par sangin kudalen honTon par bebak tarane
dahqanon ke dil nikle hain apni bigDi aap banane
aaj purani tadbiron se aag ke shoale tham na sakenge
ubhre jazbe dab na sakenge ukhDe parcham jam na sakenge
raj-mahal ke darbanon se ye sarkash tufan na rukega
chand kirae ke tinkon se sail-e-be-payan na rukega
kanp rahe hain zalim sultan TuT gae dil jabbaron ke
bhag rahe hain zill-e-ilahi munh utre hain ghaddaron ke
ek naya suraj chamka hai ek anokhi zau-bari hai
KHatm hui afrad ki shahi ab jamhur ki salari hai
Nazm
Tulu-e-ishtirakiyat
Sahir Ludhianvi