sanp ka zahr
hamare jism mein daKHil ho kar
masti mein nara lagata hai
KHun ki har bund mein utarte hue
lutf-o-imbisat se
nachne lagta hai
hamara badan
is ke liye
tamam shiryanon ke dar khol deta hai
mudafat ke liye banae gae tamam morche
munhadim ho jate hain
chand ghanTon mein
sara jism taraj ho jata hai
thakan se chur zahr
ek nind lene ka faisla karta hai
lekin us ki nind jald hi TuT jati hai
hamare badan ka taffun us ki bardasht se bahar hai
jism ke andhere mein
sanp ka zahr
Thokaren khata phirta hai
ise jism se bahar nikalne ka rasta nahin milta
wo dauD dauD kar hanp jata hai
ek murda badan mein
eDiyan ragaD ragaD kar
bil-aKHir
KHud bhi mar jata hai
Nazm
Trip
Saeeduddin