falak ka ek taqaza tha ibn-e-adam se
sulag sulag ke rahe aur palak jhapak na sake
taras raha ho faza ka muhib sannaTa
siDaul panw ki pael magar chhanak na sake
kali ke izn-e-tabassum ke sath shart ye hai
ki der tak kisi aaghosh mein mahak na sake
main sochta hun ki ye teri be-hijab hansi!
mizaj-e-zist se is darja muKHtalif kyun hai
ye ek shama jise subh ka yaqin nahin
jigar ke zaKHm-e-farozan se munharif kyun hai
bhara hua hai nigahon mein zindagi ke dhuan
bas ek shoala-e-shab-tab mein sharar kyun hai
mere wajud mein jis se kai KHarashen hain
wo ek shikan tere mathe pe muKHtasar kyun hai
jami hui hai sitaron pe aansuon ki nami
tere charagh ki lau itni tez-tar kyun hai
nae shiwale mein ja kar kisi ke teshe ne
bahut se but to girae bahut se but na gire
bas ek KHanda-e-be-bak hi se kya hoga
lahu ki zahmat-e-iqdam bhi zaruri hai
zara si jurat-e-idrak hi se kya hoga
gurez o rajat o taKHrib hi sahi lekin
koi taDap, koi hasrat, koi murad to hai
teri hansi se to meri shikast hai behtar
meri shikast mein thoDa sa e'timad to hai
Nazm
Teri hansi
Mustafa Zaidi