ye chhoTi si nadi to mahz
nadi ki halki si jhalak hai
nadi ka pura paT dekhna ho
to mere dil mein utar kar dekho
jahan se us ke sote phuTte hain
lekin mere dil se
ek nahin
kai nadiyon ke sote phuTte hain
kabhi kabhi ye sote KHushk bhi ho jate hain
aur dil mein dhul si uDne lagti hai
dil ek ret ke Tile ki tarah dikhai dene lagta hai
lekin ye ret to bas is ki upri satah hai
is ki retili satah ke niche
ek dariya hai
jo aam taur par to KHamosh rahta hai
lekin kabhi kabhi
tarang mein aa jae
to gane bhi lagta hai
kabhi kabhi us ka koi bol
be-qabu ho kar
ek naddi ka tassur deta hai
aur ek tinka
der tak
us ki tarah par halkore leta rahta hai
Nazm
Tinka
Saeeduddin