us roz mausam-e-KHizan ki pahli barish hui
jab us ne mere dar se aaKHiri bar qadam nikala
us ne meri rasoi se ek niwala na liya
mere kuen se ek ghunT na piya
aur mere honTon ka ek bosa na liya
balki pahle liye hue sare bose
thuk diye
jab mausam-e-KHizan ki dusri barish hui
to meri rasoi mein ek sanp nikla
mere kuen mein ek meinDak paida hua
aur mere honTon par pahli papDi jami
tab se ab tak sanp
rasoi mein ghat lagae hai
meinDak kuen mein dubka hai
aur jaane wala
rozana mere dar par dastak deta hai
apne thuke hue bose
chaTne ke liye

Nazm
Tisri barish se pahle
Sameena Raja