ye kah raha hai dil-e-be-qarar tez chalo
bahut udas hain zanjir o dar tez chalo
jo thak gae hain unhen gard-e-rah rahne do
kisi ka ab na karo intizar tez chalo
KHizan ki sham kahan tak rahegi saya-fagan
bahut qarib hai subh-e-bahaar tez chalo
tumhi se KHauf-zada hain zamin o zar wale
tumhi ho chashm-e-sitam-gar pe bar tez chalo
karo KHulus o mohabbat ko rahnuma apna
nahin durust dilon mein ghubar tez chalo
bahut hain hum mein yahan log guftugu-pesha
hai un ka sirf yahi karobar tez chalo
KHirad ki sust-rawi se kise mili manzil
junun hi ab to karo iKHtiyar tez chalo
Nazm
Tez chalo
Habib Jalib