اردو हिंदी
Teri aawaz | Shaahi Shayari
teri aawaz

Nazm

Teri aawaz

Sahir Ludhianvi

;

raat sunsan thi bojhal thin faza ki sansen
ruh par chhae the be-nam ghamon ke sae

dil ko ye zid thi ki tu aae tasalli dene
meri koshish thi ki kambaKHt ko nind aa jae

der tak aaankhon mein chubhti rahi taron ki chamak
der tak zehn sulagta raha tanhai mein

apne Thukrae hue dost ki pursish ke liye
to na aai magar us raat ki pahnai mein

yun achanak teri aawaz kahin se aai
jaise parbat ka jigar chir ke jharna phuTe

ya zaminon ki mohabbat mein taDap kar nagah
aasmanon se koi shoKH sitara TuTe

shahad sa ghul gaya talKHaba-e-tanhai mein
rang sa phail gaya dil ke siyah-KHane mein

der tak yun teri mastana sadaen gaunjin
jis tarah phul chaTakne lagen virane mein

tu bahut dur kisi anjuman-e-naz mein thi
phir bhi mahsus kiya main ne ki tu aai hai

aur naghmon mein chhupa kar mere khoe hue KHwab
meri ruThi hui nindon ko mana lai hai

raat ki sath par ubhre tere chehre ke nuqush
wahi chup-chap si aanhken wahi sada si nazar

wahi Dhalka hua aanchal wahi raftar ka KHam
wahi rah rah ke lachakta hua nazuk paikar

tu mere pas na thi phir bhi sahar hone tak
tera har sans mere jism ko chhu kar guzra

qatra qatra tere didar ki shabnam Tapki
lamha lamha teri KHushbu se moattar guzra

ab yahi hai tujhe manzur to ai jaan-e-qarar
main teri rah na dekhunga siyah raaton mein

DhunDh lengi meri tarsi hui nazren tujh ko
naghma o sher ki umDi hui barsaton mein

ab tera pyar sataega to meri hasti
teri masti bhari aawaz mein Dhal jaegi

aur ye ruh jo tere liye bechain si hai
git ban kar tere honTon pe machal jaegi

tere naghmat tere husn ki ThanDak le kar
mere tapte hue mahaul mein aa jaenge

chand ghaDiyon ke liye hun ki hamesha ke liye
meri jagi hui raaton ko sula jaenge